Thursday, December 5, 2019

Why Are White And Yellow Lines Made On The Roads? In Urdu And Hindi

Why Are White And Yellow Lines Made On The Roads?                                     In Urdu And Hindi

Dosto Aam tor par hum jab safar karty  hain to kayi aisi cheeze hamaray samnay aati hain jin ki taraf hum tavajja nahi dete aur Un Ko Nazar Andaz Kar Dity Hai Aur  un ki haqeeqat maloom nahi karte Hai  ke un kamqsd hai.

DOSTO AGAR APP AS ARTICAL PAR BANAE GAI VIDEO DIKHNA CHAHTY HAI TU AS LINK YA IMAGE PAR CLICK KARE

https://www.youtube.com/watch?v=dGU5XRgGaZQ



Safar k douran kuch aisi cheeze zurori bhi hoti hai jin  Janna Bahut zurori hai.Safar k douran hamaray samnay mukhtalif qisam ke sign bhi atay hain jinhein hum nazar andaaz kardete hain lekin haqeeqat mein un ke bhi maienay hotay hain. isi terhan mukhtalif sarkon par kuch Lans Lagi  hoti hain un kamtlb  Kea Hota hai  Aur  kyun lagai jati hain. mukhtalif sarkon par mkhtlf qisam ki Lans Lagi  hoti  hain jin ki apni noiyat  aur ahmiyat hoti hai aur Draving ke liye un linon janna bhi zurori hai .

Ghair taqseem shuda safaid line : ghair taqseem shuda seedhi safaid linon ka matlab hai ke aap apni lain kisi soorat tabdeel nahi kar satke. yeh line shehar ki markazi aur masroof shaahrahon par bani hoti hai taakay jaldi mein log lain badalny se Basaz rahen aur sarrak par koi haadsa runuma nah ho.

 Road partaqseem shuda safaid line :. kuch sarkon par safaid rang ki tooti hui ya taqseem shuda lines bani hoti hain. yeh umooman un sarkon par hoti hain jo markazi shahrah se zeli sarrak mein tabdeel ho rahi hoti hain aur un par bohat kam traffic hoti hai. un par bani safaid lines ka matlab hai ke aap ahthyat ke sath apni lain tabdeel kar saktay hain yani aik qitaar se doosri qitaar mein ja satke hain. lekin ahthyat ko malhooz khatir rakhen.

 Ghair taqseem shuda aik zard line :. kisi sarrak par aik seedhi zard line aap ko ghair mamooli ahthyat ke sath gaari cross karne ki hadaayat deti hai.

 Taqseem shuda zard line :. Tooti hui zard linon ka matlab hai ke aap apni agay wali gaari ko cross kar saktay hain lekin aisa karne se pehlay aas paas ke traffic aur raah giron ka khayaal rakhen. do zard Lines :.

  Road par do seedhi zard linen    sarrak par do seedhi zard linen aap ko apni lain mein seedha gaari chalanay ka intibah karti hain. is line ka matlab hai ke gariyon ko cross karne ki koshish hargiz mat karen. aik taqseem shuda zard line aur aik seedhi line :.

Aik Taqseem Shuda Zard Line Aur Aik Seedhi Line
 Aik taqseem shuda zard line aur aik seedhi line ka matlab hai ke agar aap taqseem shuda line ke sath chal rahay hain to aap agli gaari ko cross kar satke hain .

0 comments:

Post a Comment