Thursday, December 5, 2019

Can be a Dead Snake Killed?Science Explains! In Urdu

          Can be a Dead Snake Killed?Science Explains


Dosto agar aap ke samnay khatarnaak saanp lehrata huwa aajay to Aap bohat khaufzadah aur mohtaat ho jayen ge lekin agar mukammal saanp ki bajaye sirf is ka kata huwa sar[head] aap ke samnay ho to shayad khatrah kuch kam mehsoos ho ga .


DOSTO AGAR APP AS ARTICAL PAR BANAE GAI VIDEO DIKHNA CHAHTY HAI TU AS LINK YA IMAGE PAR CLICK KARE





Agarcha aap aisa samajh satke hain lekin haqeeqat mein aisa nahi hai kyunkay saanp ke katay hue sar se bhi itna hi mohtaat rehne ki zaroorat hai jitni ke zindah salamat mukammal saanp se. 

Mahireen hewaniaat ka is baat par ittafaq hai ke saanp ka sir katne ke aik ghantay baad taq bhi zindah reh sakta hai aur is douran yeh kaat bhi sakta hai aur itna hi jaan lewa saabit ho sakta hai jitna ke mukammal jism ke sath. is Ka Taza tareen saboot chain ke aik mashhoor resturent aachuka hai. soobah Gong dong ke restaurants mein chef ping chain yahan ki mashhoor dish ”Cobra saanp ka soop bana' rahay they.

Unhon ne khatarnaak zahir waly Cobra sanap ka sir kaat kar alhid_h kar diya aur baqi jism ko soop mein istemaal ke liye tayyar karna shuru kar diya. taqreeban 20 minute baad jab unhon ne katay hue sir ko haath se aik taraf dhakelna chaha to is ne palak jhapakty mein waar kar ke zeher ping ke jism mein daakhil kar diya aur chand lamhoon mein hi un ki mout ho gayi. 

Mahireen ka kehna hai ke saanp ko ld blood d janwar hain aur un ke azlaat hai aur dijist nizaam bohat sakht jaan hota hai. un ka sir katne se dimagh ko milnay wali oxygen ki miqdaar agarchay nah honay ke barabar hoti hai lekin phir bhi taqreeban aik ghantay taq nah sirf un ka dimagh kaam krtarhta hai balkay yeh ankhen bhi jhapakty hain aur zabaan bhi bilkul bahar nikaal satke hain, is liye kabhi bhi un ke qareeb nah jayen warna jaan ja sakti hai .

0 comments:

Post a Comment