Saturday, December 7, 2019

National Animal Of Pakistan Markhor || I.S.I Logo And Pakistan Army || SAJJAD ALI TV

            National Animal Of Pakistan Markhor  ||  I.S.I Logo And                                                  Pakistan Army || 





I.S.I ki sarkari alamat mein dekha ja sakta hai ke maar Khor ke mun mein saanp hai.
 Ab aap sochen ge ke maar Khor ke mun mein saanp I.S.I  ki sarkari alamat kyun ban gaya to is ka jawab yeh hai ke maar Khor Pakistan ka qaumi janwar hai.
 Maar Khor farsi zabaan ka lafz hai, farsi mein maar ka matlab saanp aur Khor ka matlab Hai Khany wala hota hai. maar Khor pahari ilaqon mein rehta hai aur is ke seeng bohat barray hotay hain jin ki madad se yeh khari chatanoo par bhi charh jata hai aur yeh saanp bohat shoq se khata hai. doosri taraf saanp ( king kobra ) Bharat ka reengnay wala qaumi janwar hai aur hindu is ki pooja bhi karte hain.I.S.I  ki sarkari alamat mein Pakistan ka qaumi janwar maar Khor Bharat ke reengnay walay qaumi janwar ko saanp ko kaha raha hai. Pakistan ki khufia agency I.S.I  ka record Bharat ke khilaaf bohat hi zabardast hai, abhi haal hi mein I.S.I  ki madad se pak fouj ny Bharti jasoos klbhoshn yadyo ko pakra jo ke Pakistan ke liye bohat barri kamyabi saabit hui, yahi hi wajah hai ke Bharat hamaray khufia idaray aur pak fouj ko bad naam karne ke liye bain al aqwami sazishain kar raha hai lekin phir bhi hamesha mun ki khata hai


DOSTO AS ARTICAL PAR BANAE GAI MUKAMAL VIDEO DEKHNY K LEY AS LINK PAR CLICK KARE 

https://youtu.be/3movbWjIpLc

0 comments:

Post a Comment